Qulla asalukum

- Irfan Haider (2007)


Qulla asalukum

Aoodhu billahi minash shaitaanir rajeem

Bismillahir rahmaanir rahim

Harbul li man haarabahum

(Wa silmul li man saalamahum) x2

Aduwwul li man aata hum

(wa muhibbul liman ahabbahum) x2

Isiliye to apne nabi se kehta hai Allah

(Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  1. Hukme khuda quran me ayaa
  2. Ajre risaalat maanglo apna

    Mere nabbi-e-haq he tumhara

    Yaani mawaddat ehle Qurba

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  3. Inse adaawat mujhse adaawat
  4. Inse muhabbat mujhse muhabbat

    Hoga wahi mehroome shifa-at

    Jisne bhi inko dukh pohonchaya

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  5. Midhat o girya majlis o matam
  6. Yaani rajab shabaan o muharram

    Inki khushi aur inka har gham

    Ajre risaalat iske siwaa kya

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  7. Inka madeena inka he kaaba
  8. Jannat he inki kauthar inka

    Waarise adam waarise isa

    Kehdo nabi man kunto maula

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  9. Qaule nabi irshaade khuda ko
  10. Kisne nibhaya kaisa dekho

    Sibte nabi par rone waalo

    Kya kehta he aakhri sajda

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  11. Ajre risaalat bandishe paani
  12. Ajre risaalat ye mehmaani

    Gardane sheh khanjar ki rawaani

    Kehta raha har khun ka qatra

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  13. Apna he ye "irfan" aqeeda

Shah ka gham na ruka na rukega

Kaise ruke "rehan" ye girya

Isme he shaamil rabbe kaba

(Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2