Mai Abu Talib hu
- Miscellaneous (2014)
mai abu talib hu 8
mai hu imran laqab mera abu talib hai
aur nasab mera ala ghalibe al ghalib hai
jisme dhalti hai wilaayat woh mera qaalib hai
jo hai matloobe zamaana woh mera talib hai
kya hai maqsad mera maqsood samaj sakta hai
mai woh haamid hu jisey mehmood samaj sakta hai
munkashif dekhe hai tauheed ke manzar maine
jism me dhalte hue dekhe payambar maine
khudko poshida rakha kaabe ke andar maine
gaud e paale hai ambaar ke paale maine
apni hi zaat me alame anwaar hu mai
jo hai aalam ka khuda uska madadgaar hu mai
maine har kaam kia zaate ahad ki khatir
waqf saase rabbe samad ki khaatir
surae feel bani hai mere jad ki khaatir
baat kaafi hai yeh rutbe ki sanad ki khaatir
kab samaj paaya yeh zamaana mere ilhaamo ko
apna kehta hai khud allah mere kaamo ko
waaqife azmate tauhid o risalat mai hu
utri quran se pehle woh ayat mai hu
hadiye waqt hu khlaiq ki hidayat mai hu
kasrate kufr me bas markaze wahdat mai hu
meri har had woh sarhad se mila deta hai
meri baato ko woh aayaat bana deta hai
masrafe khalike bari ka mai juzdan bhi hu
khanae rabbe jali ka mai nigahbaan bhi hu
kulle imaan k liye haasile imaan bhi hu
ek paikar me ali bhi hu mai imraan bhi hu
thi wila meri zamane me wali se pehle
mai hi tha nade ali nade ali se pehle
maine azmat ki hijabo me nabuwat paali
gaud me apni kabhi maine wilayat paali
paikare haidare safdar me imamat paali
surate ahmade mursal me risalat paali
mushkile deen pe jo aayi unhe taala hai
maine islam ko baccho ki tarah paala hai
maine mehfooz rasulo ki wirasat rakhkhi
jaari maine toh nabiyo ki shariyat rakhki
mujhme allah ne khud din ki nusrat rakhki
maine aayaat jahapar wahi aayat rakhki
shere allah ko yu sher banaya maine
maut ki gaud me haider ko sulaya maine
baat yeh noor ali saare zammaane ko bata
ab bhi aati hai sare dehr yeh imraan ki sada
log jaa kehne lage haidere safdar ko khuda
abu talib ne yeh kamzarf nusairi se kaha
soch gar hai ali zee jaa toh fir mai kya hu
gar mera beta hai allah toh fir mai kya hu