Ye hussaini kaafla

- Irfan Haider (2007)


Ye hussaini kaafla

(Chehlum karke hussain ka) x2

Maqtal se chala kaafila

Zainab ne di sadaa

Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  1. Haay - Majlise chehlume shabbir sare dashte bala
  2. Kar chuke ehle haram girya o maatam barpa

    (Kaasimo akbaro abbas ka pursa bhi diya) x2

    Ye to sab hogaya ek kaam bacha he tera

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  3. Haay - Jaanti hun ke ghamo ranj se lachar he tu
  4. Yaad mein baali sakina ki giriftaar he tu

    (Meri tarha se bahattar ka azadar he tu) x2

    Kaarwaane shahe mazloom ka salaar he tu

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  5. Haay - Yun to ye kaam bhi karsakti hun mein tashna jigar
  6. Qalbe zainab ki yehi aakhri khwahish he magar

    (Ek imam aaya tha hum sab ko watan se lekar) x2

    Ek imam apne dilafghaaron ko lejaaye ghar

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  7. Haay - Apne nana ko ye rudad sunane ke liye
  8. Zakhm pardes mein jo paaye dikhaane ke liye

    (Dadi zehra ko har ek baat bataane ke liye) x2

    Fatima Sughra ko seene se lagaane ke liye

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  9. Haay - Wada Shabbir ka he beta agar yaad tujhe
  10. Dil se ay beta bhulaani he har uftaad tujhe

    (Laaj rakhni he meri sayyade sajjad tujhe) x2

    Phir se nana ka shehr karna he abaad tujhe

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  11. Haay - Naqsh is dil pe mere laal musibat he teri
  12. Ruh ke zakhmon men pewast azziat he teri

    (Jo hua so woh huwa beta ye kismet he teri) x2

    Ab bhi nana ke madeene ko zaroorat he teri

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  13. Haay - Dekh ay laal ye tujhko bhi he mujh ko bhi yaqeen
  14. Khoon royegi mere haal pe yathrib ki zameen

    (Fatima Sughra ka mein saamna karsakti nahin) x2

    Isliye kehti hun tujhse ay mere maah jabeen

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  15. Haay - Haaye kya mazharo irfan qayamat thi bapa

Peet kar seena o sar karte the saadat buka

(Baap ki kabr se woh kaafla salaar utha) x2

Thaam kar baazue sajjad jo zainab ne kaha

Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa