Ujjar gaya hai
- Irfan Haider (2007)
Ujjar gaya hai
(Shaame gharibaan) x2 jalte khaima, (yaas ka aalam) x2
Koi yahaan karta tha nawha (aur koi matam) x2
Naade ali parhne lagi zainab (dasht mein jis dam) x2
Haay, Fizza ne kiya marsiya ya haidare karrar
(Ujar gaya hai zainab ka ghar baar) x3
- Subhe daham se asr ke hangame balaa tak
Baiyat se chali baat to aapohnchi rida tak
(Zainab ko yaqeen hogaya) x2
Ya Haidare Karrar - Roti rahi woh alqama aur pyaase rahe hum
Saadat ne paya yahaan har lamha naya gham
(Har zakhm par aisa laga) x2
Ya Haidare Karrar - Kya waqt tha pardes mein aulaade nabi par
Khaime se jo marne chale ham shakle payambar
(Shabbir ne ro kar kaha) x2
Ya Haidare Karrar - Is se bari ab aur kya aayegi qayaamat
Khud baap le kar aagaya jab bete ki mayyit
(Ro kar pukaari Karbala) x2
Ya Haidare Karrar - Ujre nahin pardes mein yun kunba kisi ka
Matam huwa jab dasht mein abbase jari ka
(Roya alam royi wafa) x2
Ya Haidare Karrar - Auno Muhammad hogaye maqtoole jafa jab
Beton ke laashe dekh ke ye kehti thi Zainab
(Lo dekhlo aakar zara) x2
Ya Haidare Karrar - Aqa tumhaare laal pe jab chalta tha khanjar
Royi zameene karbala ye marsiya parh kar
(Ya Mustafa ya Fatima) x2
Ya Haidare Karrar - Ab na yahaan Shabbir hai na baaqi he lashkar
Bas karbala ki khaak he aur aale payambar
(Ehle haram ki he buka) x2
Ya Haidare Karrar - Ab "Mazhar-o-Irfan" ke aayi he labon par
Jo baat fizza ne kahi is jalti zameen par
(Hojaaye ye dunya fanaa) x2
Ya haidare karrar
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3