Ya panjetan
- Tejani Brothers (2009)
Ya panjetan Innama yureedullahu li yudhhiba ankumur-rijsa, ahlal bayti way u tahhirakum tatheera (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 1. Tumhaare naam ke sadqe mei, Mile hai(n) dono jahaa(n) humkoTumhare naam ki hai ye zami(n), mila hai tumse qura(n) humkoKiya hai rab ne karam apna, tumhaare khatir aalam parTumhare noor ke qatro(n) se, mila hai noor-e-jahaa(n) hamko (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 2. Wo kaysa zakhm-e-judaayi tha, Nabi ke paak gharaane parGhame firaaqe mohammed ko, kabhi na bhool sake haiderSahara Fatemah ka hai china, gale mei haider ke rassiFidak ko chheen chheenenge zalim, jalega tera yaqeenan dar (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 3. Azeem rab ki qasam khaakar, nahi hai isme koi bhi shakAli ki tarha bahaddur to, jahaa(n) mei koi nahi ab takNahi mukammal inke bina, payghaam-e-Ahmed deen-e-khudaAli ke naam pe chalta hai, ye kayinaat ka har maslak (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 4. Wo dar ko kyu(n) nahi pehchaana, jise rasul bhi bosa de,Wo dar jalaya zalim ne, jaha pe maut ijaazat le,Wo pasliyo(n) pe giraya dar, ye kaysa waqt hai zahra parKe ghash me binte payambar thi, wo darpe fizza sadaae de (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 5. Urawo khaak azadaro, ye matami ka taqaza haiAbhi firaaqe zahra ka, jigar me zakhm bhi taza haiJigar ke tukre waha nikle, kafan hai aapka khun me tarrNahi hai jurm siwa iske, ye mujtaba ka janaza hai (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 6. Wohi Hussain jisse ahmed, dete the gardan par bosaWo jalti rayt pe karbal me, para hai zahra ka jaayaGala hussein ka pyaasa hai, jo kund khanjar se hai kata,Shimar laeen tha sine par khanjar jo has ke chalata tha (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 7. Ye kayse log the karbal me, khudara zulm hai ye kaysa,Jo mustafa ka tha pyaara, ussi hussein ko hai maaraaAb imtehan hai ye logo, abhi hai shaam abhi kufaAli ki betiya(n) hai dar dar, hujoom ghayr ka hai saaraa (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2 8. Zamana dekh raha hai ab, teri duao(n) me kya dam hai,Ke do jahaan mei ay zahra, tere Hussain ka matam haiRakhenge zinda qayamat tak, Yahi "Tejani" ka wada haiKabhi na hoga ye gham kam, hamare sine me ye dam hai (Ya mustafa, ya murtaza, ya zahra, ya hassanain) x2