Rida laake ke urhaade

- Irfan Haider (2007)


Rida laake ke urhaade

Zainab aagayi hai shaam

Meri rida ke pasbaan

Rida laake ke urha de

(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3

  1. Ay mere ghazi alamdaar
  2. Rida laake ke urha de

    (Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3

  3. ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi
  4. agar wo toko salaasil se paaye azaadi

    To mera abide bimaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  5. Wo beridayi ke sadme ko kaise jhelega
  6. Ye dard abide muztar ki jaan lelega

    Guzar na jaaye dilafgar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  7. Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se
  8. Sabeel aisi banaa koi tay ho ye raste

    Na dekhe mujhko sitamghaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  9. Ghareeb hogayi ummat ne di saza mujhko
  10. Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko

    Sina se gir nahi farwa

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  11. Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi
  12. Tamaam umr me phir tujhse khuchh na mangungi

    Hai ibne haidere karrar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  13. Tujhe to baba ne bakhshi masnade aali
  14. Sawali koi tere dar se kab gaya khali

    Zamane bhar ke madadghaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  15. Kabhi jo ghar se nikalti me saal me ik baar
  16. Tu barh ke logo(n) se kehta tha band karo bazaar

    Wahi behan wahi bazaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  17. Sare hussain bhi rota hai noke neza par
  18. Padar bhi rote hai nana bhi bas yahi kehkar

    Khule saro(n) ke wafadar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  19. Sada ye shaam se aati hai "mazahar-o-irfan"

Tarap ke aaj bhi kehti hai zainabe zeeshaan

Meri rida ke nigehbaan

Rida laake ke urha de

Ay mere ghazi alamdaar

Rida laake ke urha de

Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de