Ye raat na jaye
- Imran Mehdi (2010)
ye raat na jaaye..(4)
haaye haaye
suraj se zara kehdo chup jaye kahin jakar..
ye raat na jaaye..(2)
zainab ke kaleje par, chal jaenge 100 khanjar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
1. Is raat ke parde me poshida hai afsane
ye raat agar guzri kya hoga khuda jaane
is raat ke jaate hi bichdega ali akbar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
2. Is raat ki sangini zainab se koi puchi
hai maut ke narghe me do phoolnuma bache
rone bhi na paegi maa bacho ke lasho par
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
3. Maao ke kalejo par ye raat hai ek nashtar
isko na guzarne do chota hai abhi asghar
asghar ko ye teero me lejaegi behlakar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
4. Jab tak bhi theher jaye ye raat ghaneemat hai
is raat ke piche to aani hai qayamat hai
jaane ko ye jayegi naizo pe chadhake sar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
5. Kab raat ki tareeki lagti hai bhali kisko
allah sahar na ho karte hai dua humto
sojaega sahil par abbas mera jaakar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
6. Is raat ke jaate hi kya kya na sitam honge
sar aale mohd ke bejurm qalam honge
jal jaenge ye khaime lut jaega mera ghar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
7. Wo baali sakina jo darti thi andhero se
us raat ke daaman ko thame thi wo haatho se
kehti thi koi aaye ehsaan kare mujhpar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
8. Is raat ke pehlu me hai shame ghareeba bhi
dhayegi sitam lakho wo shaam agar aai
lut-te hue dekhegi wo shaam meri chadar
ye raat na jaaye..(2) haaye haaye
9. Rehaan guzarna tha us raat ko wo guzri
suraj ne ayaa hokar imran qayamat ki
kehti rahi shehzaadi bus naade ali padhkar
ye raat na jaaye.. haaye haaye