Rida Laake Udha de

- Irfan Haider (2006)

Meri rida ke pasbaan
Rida laake ke urha de

(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3

agar wo toko salaasil se paaye azaadi
To mera abide bimaar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Ye dard abide muztar ki jaan lelega
Guzar na jaaye dilafgar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Sabeel aisi banaa koi tay ho ye raste
Na dekhe mujhko sitamghaar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko
Sina se gir nahi farwa, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Tamaam umr me phir tujhse khuchh na mangungi
Hai ibne haidere karrar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Sawali koi tere dar se kab gaya khali
Zamane bhar ke madadghaar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Tu barh ke logo(n) se kehta tha band karo bazaar
Wahi behan wahi bazaar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Padar bhi rote hai nana bhi bas yahi kehkar
Khule saro(n) ke wafadar, Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Ay mere ghazi alamdaar

ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi
Wo beridayi ke sadme ko kaise jhelega
Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se
Ghareeb hogayi ummat ne di saza mujhko
Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi
Tujhe to baba ne bakhshi masnade aali
Kabhi jo ghar se nikalti me saal me ik baar
Sare hussain bhi rota hai noke neza par
Sada ye shaam se aati hai "mazahar-o-irfan"

Tarap ke aaj bhi kehti hai zainabe zeeshaan
Meri rida ke nigehbaan, Rida laake ke urha de