Aey Meri Behno Suno
- Hashmi Sisters (2013)
Aey meri behno suno,
Qoum ki behno suno
Mera paighaam suno,
Aey meri behno suno
Tum … Yaad parday ko rakho
Aurton key liye hai hukm e shariat parda
Ghour say dekho to hai aiK sa’aadat parda
Poocho quraan say hai tatheer ki ayat parda
Ba Khuda Zainab e Muztar ki hai sunnat parda
Bibi batlaingee un key liye kya tha parda
Sarbarehna theen tou baalon say kiya tha parda
Aao manzar main dikhati hun tumhain Yasrab ka
Aik din Baba say Zainab nay adab say ye kaha
Hum ko lay chaliye zara Qabr e Nabi par Baba
Baad e Maghrib tumhain lay jaoonga bolay Mola
Din dhala shaam ki kirnain jo ayan honay lageen
Betiyaan Mola ki parday main
nihan honay lageen
Sar pay maqna bhi rakha orh li Zainab nay aba
Us aba nay tab unhain dhaanp lia sar ta pa
Gird dukhtar kay lagay ghoomnay us dam Mola
Poocha Zainab nay k kia dekh rahay hain Baba
Bolay Haider key na parday main kami ho Beti
Dekhta hoon kahin chadar na
hati ho Beti
Kaha Abbas say Haider nay key tum aagay barho
Sab dukaanon kay charaghon ko zara bujhwa do
Bolay Hasnain say tum behnon ko ghairay main rakho
Parda behnon ka banaatay huay sab Bhaai chalo
Betiyyon ko meray mola jo yun lay jatay thay
Aisay parday ka chalan dahr ko sikhlatay thay
Gird jin aurton kay rahta hai parday ka hisar
Barhta hai aisi khawateen ka
dunya main waqar
Un ka hi hota hai zahra ki kaneezon main shumar
Bay rida ho kay karo apnay amal mat bekar
Bint e Zahra nay utari na thee khud hi chadar
Sar e Zainab say basad jabr chinee thee chadar
Mominaat aaj yahan tum pay koi jabr nahin
Koi cheenay nahin lay jata hai chadar bhi kahin
Sar pay hai Baap salamat to hai Bhaai bhi yahin
Ghar hain mahfooz jalata to nahin koi laeen
Tum nay kya samjha hai, Kya Fatima khush hotin hain
Be rida dekh kay tum ko
wo khafa hoti hain
Kab talak roaingay Sajjad say jab poocha gaya
Aap key ghar ka shahadat hai
qadeemi virsa
Bolay Sajjad k kia ye bhi hai virsa mera
Cheena jaey meri Maan behnon kay sar ka parda
Chadar e Zainab o Kulsoom ka yoon charcha kia
Mola Sajjad ney chalees baras girya kia
Voh jo parday ka chalan dehr ko sikhlaati thee
Karbala mein usi Bibi ki rida
cheeni gaee
Poocho Zainab say kay us waqt bhala kia guzri
Sarbarehna jo voh Darbar e Shaqi mein aaee
Boli Zainab meray Ghazi say koi farma do
Hosakay to meray sar key liey
chaadar laa do
ADEEYA, SAANIA, MAHUM suno MAJID ki sada
Tum khavateen ko batlaao key
kya hai parda
Be ridaaee E haram par jo ho karti girya
Laazmi hai key giray sar say tumharay na rida
Deen kay wastay Zainab nay lutaya parda
Sab khavateen ka ta hashr bachaya parda