Ye Meri Laadli

- Syed Raza Abbas Zaidi (2011)


ye mere laadli haye sakina

chale jab aakhri ruqsat ko sarwar
kaha zainab se ay mazloom khwahar
zara le aao tum baqar ko jaakar
jab aaya ibne abid hukm paakar
kaha baqar se sheh ne gham na karna
ke tere saath hai meri sakina
ye mere laadli....

ye khud pyasi rahegi dukh sahegi
magar pyasa tumhay rehne na degi
ye khud rokar tujhe rone na degi
ye rahe shaam may saaya karegi
tujhe ek pal na chodegi akela
ye mere laadli....

kaha zainab se phir ay meri khwahar
chinegi jab tumhare sar se chadar
tamache kha ke bhi ye meri dukhtar
kabhi hone na degi tumko muztar
ye balon se karegi tumpe saaya
ye mere laadli....

jagakar ghash se ye abid ko bolay
hussain ibne ali ay laal mere
jab hongi bediyan pairon may tere
sitamgar jab tujhe sonay na denge
karegi tauq ko ashkon se thanda
ye mere laadli....

agarche kaan honge uske zakhmi
bandhi hongi galay may uske rassi
kayi din aur kayi shab ki ye jaagi
kisi pe dukh na ye zaahir karegi
har ek pal dhyan rakhegi tumhara
ye mere laadli....

isay seene pe tum apne sulana
sare naiza mera sar na dikhana
hamari laash pe isko na laana
na dil iska kabhi zainab dukhana
na dekhe zakhmi akbar ka kaleja
ye mere laadli....

ali asghar jo tha chota sa bhaiya
hai sar uska sina par ye na kehna
mila hai khaak ka isko bichono
tadap kar jaan dedegi sakina
bhala dekhegi kyun asghar ka laasha
ye mere laadli....

ye kehkar rodiye khud shahe wala
likho rehan us manzar pe noha
raza jisko padhe qarya ba qarya
har ek ahle aza ho mehve girya
kahe maula dua degi hamesha
ye mere laadli....