Mehendi Laga Ke Qasim

- Syed Raza Abbas Zaidi (2009)


mehendi laga ke qasim maqtal ko ja rahe hai
armaan maa phupi ke aansoo baha rahe hai

dholi gayi thi mehendi behno ke aansuon se
pani na tha mayassar haye haye kayi dino se
sookhe hue labon ke chehre bata rahe hai
mehendi laga ke qasim....

abbas ne sajaya akbar se sehra baandha
shadi ke ghar may ya rab ye kaisa waqt aaya
baraat walay saare sar ko kata rahe hai
mehendi laga ke qasim....

poshak hai uroosi naushah ke badan par
lekin ye surkh dhabbe kal thay kisi kafan par
manzar wo karbala may dohraye ja rahe hai
mehendi laga ke qasim....

roohe hassan ne aakar kaisa ye haal dekha
tukdo may haye kaise khud apna laal dekha
apne jigar ke tukde phir yaad aa rahe hai
mehendi laga ke qasim....

newa jo hogaye hai ibne hassan ki dulhan
ashkon se shahe wala apna bhigo ke daman
dulhan ke sar pe misle chadar udha rahe hai
mehendi laga ke qasim....

sajjad ghash se uthkar ek ek se poochte thay
shaadi ke ghar may sab ke uthre hue hai chehre
kya cheez ran se baba daaman may la rahe hai
mehendi laga ke qasim....

khushboo hena ki ab tak maujood hai faza may
dulhan to be-khabar hai masroof hai dua hai
damaad ka janaza shabbir la rahe hai
mehendi laga ke qasim....

rehan aur raza ye gham shahe nainawa ka
ek aisa saneha hai maidan e karbala ka
har saal ahle matam jisko mana rahe hai
mehendi laga ke qasim...