Ya kareema

- Shahid Baltistani (2008)


Ya hamsheere raza 2
Assalamo alayka ya kareema

Ya Kareema

Tera bhai imame zamin hai
tera baba dare hawaij hai

ya kareema - 6

tune paaya hai zainabi rutba
kazmi hai hasab nasab tera
hai raza ki riza teri marzi
hai gilaafe haram tera parda

sar pe ahle kisa ka hai saya
aapne nam fatema paya
aap zeenat hai apne baba ki
aur rakhti hai zainabi lehja

Fatema zehra

tere rauze ko ye sa'adat hai
markaze fatema se nisbat hai
fark do markado me itna hai
wo baqaiyya ye qum ki jannat hai

shahzadi jo tere rauze par
motariz horahe hai sajde par
ehteraaman hai shukr ka sajda
aur wo bhi khuda ke kehne par

saath dono jahan aate hai
jabhhi wo jamkaran aate hai
tujhse milne ko tere rauze par
khud imame zamaan aate hai

pohchi jo qum ajeeb manzar tha
kale parcham lage the har ek jaa
aise matam kiya hai bhai ka
qum ko tune banaya karbobala

ilmo idraak aagahi dede
misle behlol zindagi dede
naqshbardaare za'ereen bana
apne rauze pe naukri dede

hai ye rehan ki dua bibi
fikre darwesh par nazar ho teri
haath bechain hai ye matam ko
qabre zehra pe ho azadari