Darmiyan lasho ke
- Miscellaneous (2014)
Darmiya laasho k maqtal me khadi hai zainab.
Is andhere mein kise dhoondh rahi hai zainb
1.Sabki nazre hai chamakte hue khanjar ki taraf
Bhai ka khushk gala dekh rahi hai zainb
2.Sheh pe chalte hue khanjar ko bhala kya maalum
Kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainb
3.Haat utha kar kare kis tarha se laasho ko salam
Haath rassi me hai shaano se bandhi hai zainb
4.Din ki dhoop aake gayi raat ki aus aake gayi
Saj raha hai abhi darbar khadi hai zainb
5.Chod kar bhai ko maqtal se ho rukhsat kaise
Laash se uthi hai phir uth k giri hai zainab
6.Deen bachane ko jo nikli thi madine se naved
Bach gaya deen magar kaise luti hai zainab