Haye shaam ka bazaar

- Miscellaneous (2014)


Haaye shaam ka bazaar  x4
Sajjad se rone ka sabab pooch raha hai..
Haaye shaam ka bazaar
Jo shaam me guzri hai wo sab pooch raha hai,
Haye

1.Wo laakho tamaashaayi beparda phupi behne
Kaise na lahoo roye beemar ki phir aankhe
Is gam ki aziyat ne use maar diya hai.

2. Kis tarha karaar aaye bimar ko ai logo,
sar naizo pe pyaro k aate hai nazar jisko
Bejurm musafir ki ye kaisi saza hai.

3.Aankho se hai khun jaari gamkhwaar hai bimari,
Zanjeer hai pairo me aur tauq bhi hai bhaari
Jalti hai zami saari aur garm hawa hai.

4.Jaageer nahi maangi zanjeer nahi badli
Saaye me nahi baitha poshaakh nahi badli
Maa behno ki khaatir wo rida maang raha hai.

5.Zinda k masayeb bhi har waqt rulaate hai
Ashko ko magar apne zainab se chupate hai
Mar jaaye na zainab ye kahi soch raha hai.

6.Zinda se riha hoke bhi zinda me hai sajjad
Ek nanhi si turbat jo waha karti hai faryaad
Mar kar bhi rahu kaid me kya meri khata hai.

7.Ye zakhm bhi sajjad ko jeene nahi deta,
Zakhmo se sakina k jo lipta raha kurta
Wo khoon bhara kurta hee kafan uska bana hai.

8.Bazaar me darbaar me zindaan me roye
Chaalees baras maut k armaan me roye
Rehan mera maula tadapta hee raha hai.