Shaam-e-ghariba
- Irfan Haider (2006)
Shaam-e-ghariba
Sog me dubi duniya thi saari
Aayi Ali ki ban me sawaari
(Pehre pe Zainab dard ki maari) x2
Baap ko dekha roke pukaari
Dekho to baba, haay, dekho to baba
(Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
- Kehti thi rokar zainab-e-muztar
- (Deti thi Zainab ban me duhaayi, Haaye mujhe kyu mawt na aayi) x2
- (Teero(n) ne chayda baap ka sina, soye kaha par bali Sakina) x2
- (Sukhe huwe kuzo(n) ki sada hai, pyaase idhar hai udhar darya hai) x2
- (Dasht-e-bala mei bikhre hai laashe, tute huwe talwaar aur neza) x2
- (Kaisi luti haay aal-e-payambar, legaye zalim cheen ke chadar) x2
- (Door huwe jab god ke paale, rut gaye is ghar se ujale) x2
- (Khaak mere baalo(n) mei pari hai, khaak basar awlad-e-nabi hai) x2
- (Baba inhe tawfeeq ye dena, hashr talak parhte rahe nawha) x2
Shaam-e-ghariba ka ye manzar, Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar
Khencha gaya beemaar ka bistar
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Nawha kuna hai wo jalti zamee(n) par
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Nawha yahi hai khushk labo(n) par
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Dekho zara ay fatah-e-khaybar
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Chaand sitare roye ye kehkar
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Rone lagi hai dekh ke madar
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Sare kahani kehta hai rokar
Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
Yaad rahe "Irfan" aur "Mazhar"