Bikherti hui raaho me

- Shadman Raza (2013)


Salam Ya Zainab(as)
Milta Nahi Tha Koyi Sahaara Yazeed Ko-x2
Arey Zainab(as) Ne Is Tarha Se Ujaara Yazeed Ko-

Khaatun Jang Kar Nahi Sakti Thi Is Liye-x2
Khutba Ki Zulfiqaar Se Maara Yazeed Ko-

As Salaam Ya Zainab(as) E Kubra As Salaam
Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as)

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as)-
Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Mizaaje Hazrate Shabbir (as) Le Chali Zainab(as)-
Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Jahaan Me Maqsade Shabbir (as) Aam Karti Rahi-
Jo Kaam Bhai Ne Sonpa Tha Kaam Karti Rahi-
Kabhi Hussain (as) Ki Surat Kabhi Ali (as) Ki Tarha-
Yazeede (la) Waqt Ki Neendein Haraam Karti Rahi-
Teri Zubaan Hai Ya Teghe Haidari (as)zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Yazeediyat Ke Liye Kaam Khub Ho Jaata-
Jo Aaftaabe Shari'at Ghurub Ho Jaata-
Zamaana Jehle Murakkab Ki Neend So Jaata-
Khuda Ke Deen Me Shaamil Uyub Ho Jaata-
Pase Hussain Na Karti Jo Rehbari Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Tera Wujud Sadaaqat Ka Paasbaan Raha-
Tera Wujud Imaamat Ka Paasbaan Raha-
Quraane Paak Ki Tatheer Ki Shahaadat Hai-
Tera Wujud Tahaarat Ka Paasbaan Raha-
Hai Tu Hi Makhzane Ismat Ki Chaawni Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Ali (as) Ki Laadli Hamshire Shabbar(as)o Shabbir (as)-
Janaabe Fatema Zehra (sa) Ki Hubahu Tasweer-
Masaahebine Sitamgar Ki Larzabaan Ham Dam-
Dayaare Shaam Me Karke Kuch Is Tarha Taqreer-
Misaale Haidare (as) Karraar Chaa Gayi Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Sitamgaron Ne To Chaaha Magar Na Hone Diya-
Khuda Ke Deen Me Bid'at Ka Ghar Na Hone Diya-
Gawaara Kar Liya Khud Daagh Beridaayi Ka-
Barehna Deene Payambar (saww) Ka Sar Na Hone Diya-
Hai Tere Khun Me Shaamil Tawangari Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Siraate Haqo Sadaaqat Se Hath Gayi Hoti-
Isaare Kufr Me Dunya Simat Gayi Hoti-
Tamaam Nabiyon Ki Mehnat Bhi Zere Takhte Yazeed (la)-
Quraane Paak Ke Hamraah Pat Gayi Hoti-
Agar Mizaaje Zamaana Na Morhti Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Khuda Tera Hai Imaam O Rasul Tere Hain-
Jo Panjetan (as) Ke Hain Zainab(as) Usul Tere Hain-
Mehek Raha Hai Gulistaane Kibriya Jis Se-
Sabhi Kali Hain Teri Saare Phul Tere Hain-
Hai Tujhse Deene Mohammad (s.a.w.w.) Ki Dilkashi Zainab (as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Kahaan Bayaan Ka Mohtaaj Zikr Hai Tera-
Har Ek Zikr Ka Sartaaj Zikr Hai Tera-
Tere Amal Tere Kirdaar Ki Ba Dolat Hai-
Zubaan Zubaan Pe Agar Aaj Zikr Hai Tera-
Hai Tere Zikr Ki Mohtaaj Har Sadi Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2

Misaale Hazrate Misam Dahan Ataa Kar Do-
Hame Janaabe Farazdaq Sa Fan Ataa Kar Do-
Dua Ye Munis O Kausar Ki “shadman” Ki Hai-
Ay Bibi Ham Ko Bhi Auje Sukhan Ataa Kardo-
Tumhaari Bazm Me Karte Hain Nokri Zainab(as)....

Bikherti Huwi Raahon Me Roshni Zainab(as) x2