Durre Aabid ko mere

- Shadman Raza (2013)


Bimaar Naatawaan Hai Sajjad (as) Ko Na Maaro....
Roti Rahi Zainab (sa) Kehti Rahi Zainab (sa) ....
Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi-
Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi.....(x2)

Mere Bimaar Ko Qaidi Na Banaaye Koyi-(x2)
Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Aable Paaon Me Hain Khaar Bhara Rasta Hai-
Haaye Sajjad (as) Ke Peiron Se Lahu Jista Hai-
Kya Khata Hai Iski Boliye B'inte Ali (as) -
Kyun Jafaa Ham Pe Huwi Kehke Zainab (sa) Royi-
Kya Khata Aale Nabi (as) Ki Hai Bataaye Koyi-(x2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Shimr (la) Ne Itne Sakina (as) Ko Tamaache Maare-
Gaal Us Phul Si Bacchi Ke Hain Zakhmi Saare-
Uske Gauhar Bhi Chhine Khun Kaanon Se Bahe-
Kaise Ye Zulm Sahe Kis Se Faryaad Kare-
Shimr (la) Se Baali Sakina(as) Ko Bachaaye Koyi- (2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Be Khata Qatl Huwa Haaye Mera Maajaaya-
Zaalimon Ne Use Ek Bund Bhi Paani Na Diya-
Itna Sukha Tha Gala Jispe Khanjar Na Chala-
Ek Qayaamat Thi Bapa Kaamp Uthi Arze Bala-
Sare Shabbir (as) na Neze Pe Charhaaye Koyi- (x2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Shaam Se Saaniye Zehra Ki Sadaa Aati Hai-
Bhaayi Baazaar Me Zainab (sa) Ko Haya Aati Hai-
Utho Abbas(as) Kahaan Suno Zainab (sa) Ki Fugaan-
Bhaayi Do Aa Ke Amaan Mera Dushman Hai Jahan-
Kehdo Behna Ko Teri Ab Na Sataaye Koyi- (x2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Chaadare Ehle Haram Luti Sitamgaron Ne-
Baandhi Shaanon Me Rasan Shaam Ke Khunkhaaron Ne-
Sar Jhukaaye The Haram Aankh Ashkon Se Thi Nam-
Har Taraf Chaaya Tha Gham Kitne Majbur Tha Hum-
Mein Sadaa Deti Thi Chaadar To Mangaaye Koyi- (x2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Haaye Zainab (sa) Bhare Darbaar Me Jaaye Kaise-
Sar Pe Chaadar Bhi Nahi Mun Ko Chhupaaye Kaise-
Waqt Ye Ham Pe Paraa Koyi Yaawar Na Raha-
Hai Sitam Had Se Siwa Sirf Aahad Hai Bacha-
Aur Atfaale Nabi (as) Ko Na Sataaye Koyi- (x2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2

Jab Bhi Aabid (as) Ki Musibat Ka Khayaal Aaye Raza-
“shadman” Gham Se Kaleja Mera Phat Jaayega-
Nauha Har Waqt Likhun Naame Sarwar(as) Me Marun-
Gar Lahed Me Bhi Rahun Maatame Shaah (as) Karun-
Ay Raza Nauha E Sarwar(as) Jo Sunaaye Koyi-(x2)

Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2