Surat-e-shere khuda
- Miscellaneous (2014)
Surat-e-Shair-e-Khuda Jaho Hasham kis Ka hai
Labai Derya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai
1 Al Qama mit nahi sakta tairai seenai sai kabhi
Tujko maloom nahi nakshai qadam kis ka hai
Surat-e-Shair-e-Khuda Jaho Hasham kis Ka hai
Labai Derya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai
2 Likh raha hai jo qalam hokai wafaon ki Kitab
Kerbala dekh to yeh hath qalam kis kai hai
Surat-e-Shair-e-Khuda Jaho Hasham kis Ka hai
Labai Derya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai
3 Jab khulai bab-e-hawaij kai muanee muj per
Tab mai samjha hun kai mujh per yeh karam kis ka hai
Surat-e-Shair-e-Khuda Jaho Hasham kis Ka hai
Labai Derya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai
4 Koi bhi jhooti qasam jis ki nahi kha sakta
Merai Ghazi kai ilawa yeh barham kis ka hai
Surat-e-Shair-e-Khuda Jaho Hasham kis Ka hai
Labai Derya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai
5 Nehr per lasha-e-Abbas tarapta kyun hai
Naam honton pai Sakina labai dam kis ka hai
Surat-e-Shair-e-Khuda Jaho Hasham kis Ka hai
Labai Derya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai
6 Woh farishtain hon kai insaan sabhi shaamil hain
Aaisa dunya main batao zara gham kis ka hai