Uthe kaise Uthe kaise
- Miscellaneous (2014)
Paresha hai zindan me saniye Zehra
Uthe kaise Uthe kaise bali Sakina ka lasha
1 Musibat ki manzil yeh kitni badi hai
Yatima ki mayyat zami par padi hai
Bane kabr kyu kar uthe kaise lasha
Paresha hai zindan me saniye Zehra
Uthe kaise Uthe kaise bali Sakina ka lasha
2 Yeh gurbat yeh tanhaai yeh kaid khana
Hai zanzir mei jakda bimar bhaiyya
Uthaey behan ka who kaose janaza
Paresha hai zindan me saniye Zehra
Uthe kaise Uthe kaise bali Sakina ka lasha
3 Hai bimar haaton mei hatkadiya pehne
Gale mein hai toke gareban uske
Utaare lehed mei who kaise janaza
Paresha hai zindan me saniye Zehra
Uthe kaise Uthe kaise bali Sakina ka lasha
4 Kahan se kafan laake pehnae Zainab
Bhatiji ko kis tarah dafnaaey Zainab
Qayamat hai ek qaid khane mein barpa
Paresha hai zindan me saniye Zehra
Uthe kaise Uthe kaise bali Sakina ka lasha
5 Madad karne aajaaoo mere baradar
Kaha roke Abid ne shana hilakar
Zara de do ake janaze ko kandha
Paresha hai zindan me saniye Zehra
Uthe kaise Uthe kaise bali Sakina ka lasha