Nanhe Mujahid

- Miscellaneous (2014)


Nanhe Mujahid ran me jaakar tum nahi aaye
Shaah to aaye jaane maadar, Tum nahi aaye

1 Kab se khadi hoo khayme ke dar par
Aakho me lekar ashko ke saagar
Pesh karoo aajaye jo Asgar tum nahi aaye
Nanhe Mujahid ran me jaakar, Tum nahi aaye

2 Tum ne ishaaro me ye kahaa tha
De de razaa maqtal ki Khudara
Kar ke fatah mai aauga lashkar, Tum nahi aaye

3 Teer lagaa hai kya garden par
Jo nahi dekha Maa ko palat kar
Kaun si Majburi thi Asgar, Tum nahi aaye

4 Qatl hue jo joro jafa se
Shaah uthakar laaye wo laashe
Aate hai tanha ras se Sarwar, Tum nahi aaye

5 Kisko sunaugi mai kahaani
Ye bhi na socha Yusuf-e-Saani
Maa se kategi raat ye rokar, Tum nahi aaye

6 Raat andheri dasht biyaabaa
Dar nahi jaana ran me meri jaan
Kayse rahoge Maa se bichardkar, Tum nahi aaye

7 Khali jo jula paaungi beta
Gam se phatega mera kaleja
Raat bhi guzregi rorokar, Tum nahi aaye

8 Kisne Anise gam ko pukara
Sunwaao aawaz mujko dubaara
Naoha yehi tha baano ke lab par, Tum nahi aaye