Tera chehlum karne aayi hu

- Farhan (ALI WARIS) (2014)


Ya abbas ya abbas
mai teri jaageer me aayi hu abbas

mai shaam se lut kar aayi hu 
saugaate masaaeb laayi hu 
tera chehlum karne ayi hu

1. Rudad sunane ko mai sham se ayi hu
ek daag sakina ka is qalb me layi hu
zindan se gam ki qaidi thi 
furqat me padar ke roti thi 
ro roke sakina jaa se gayi

2. Lasho se juda hokar us waqt chali zainab
khud ranjo masaeb ki tasweer bani zainab
pathrai hui yeh aankhe thi
pathrili safar ki raahe thi 
raaho me faqad ye aahe thi

3. Mehmil na amaari thi na sar pe mere chadar
mai shaam chali gazi pabande rasan hokar
yaad aaye mujhe fir woh lamhe
humlog watan se jab nikle
mehmil me bithaya tha tune

4. Kya sakht safar tha woh har gaam tadapti thi
bhai mera naize par mai aag pe chalti thi
the ashk musalsal ankho me
thi rkhaakhe safar hi baalo me
aur naam tera tha laalo me

5. Yeh ajr risalat ka humlogone paaya tha
aamaad pe aseero ki bazaar sajaya tha
woh lamhe kabhi na bhulungi
darbaar me pahuche jab qaidi
mai yaad tujhe hi karti thi

6. Darbaar me aye gazi hum par yeh jafae thi
ek simt mera khutba ek simt azaane thi
hakim ne shaki se yeh pucha
hai inme zainab kaun bhala
woh zainab jiska bhai tha

7. Zinda me aseero ne ek saal guzara hai
us saal ka har lamha ek saal ke jaisa hai
jab hukme rehaai ka aaya
aur loot ka sab saamaan mila
chaadar jo mili zainab ne kaha

8. Farhan zara socho kya hashra bapa hoga
jab mazhare yazda ki beti ne kaha hoga
zindan se aayi hu dekho
ai shere jari ek baar utho
zainab ka isteqbaal kar