Kabse bechain hu surat to dikha do mujhko

- Miscellaneous (2014)


JAB SHAM KE ZINDAN ME KOHRAM BAPAA
BAIN SE BALI SAKINA KE LARAZTI HAI FIZA

Sard hai saara badan zard hai gamse chehra
aah karti hai toh hil jaata hai zindaa saara
khaab se chaukhke uth baithi hai roti roti
apne seene se lagaaye hue baithi hai phuphi
Roke kehti hai ke baba mere paas aae the
phuphi amma woh yahi paas mere baithe the
mujhse kehte the mera dil nahi lagta beti
aaja ab aaja meri gaud me aaja beti

Kabse bechain hu surat toh dikha do mujhko
phuphi amma mere baba se mila do mujhko

1. Woh yahi hoge kahi aap zara de to sada
kahiye unse meri jaanib se ke beti ho fida
dur hi se zara aawaz suna do mujhko

2. Gumse fat jaega beti ka kaleja baba
baksh do mujhko agar ki ho koi maine khata
hu sazawaar par itni na saza do mujhko

3. Shukr allah ka mushkil hui aasaan meri
kat gae kaid ke din aa gayi rukhsat ki ghadi
ab safar khair se guzre yeh dua do mujhko

4. Hai khushi ki yeh ghadi ankh na kijye purnam
aapko deti hu mai auno muhammad ki kasam
muskurate hue jaane ki razaa do mujhko

5. Band aankhe hui jaati hai meri dekhe zaraa
loriyaan deti haimujhko koi maanus sada
nind aati hai phuphijaan sula do mujhko

6. Maangye ab na duaaen mere jeene ke liye
dekhiye aa gaye baba mujhe lene ke liye
kibla ruh karke fufijaan lita do mujhko

7. Haye taqdeer ki markar bhi rahi zinda me
kabr bhi paayi toh bachi ne wahi zinda me
kya khata ki thi sakina ne bat do mujhko