Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai

- Miscellaneous (2014)


Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai..(4)
Dar asl payambar ka gala kaat raha hai
Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai..(2)

1. Jaari hai labe shaah pe tasbeehe ilaahi..(2)
sheh rag nahi tu zikr e khuda kaat raha hai
Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai..(2)

2. Raaho me kisi shakhs ne sajjad se poocha..(2)
kya jurm hai kyu sakht saza kaat raha hai
Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai..(2)

3. Kaano me sakina ke hai ret ke zarre..(2)
Har zarra hi kaate ki tarah kaat raha hai
Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai..(2)

4. Naize ki ani chadar e zainab me ali hai..(2)
naiza sare zainab ki rida kaat raha hai
Ay qatile shabbir tu kya kaat raha hai..(2)