Wo Shehenshah e zaman
- Nadeem Sarwar (1990)
Wo shahenshah-e-zaman, jisko kafan bhi na mila
1. Wo Mohammad ka nawasa, woh hussain ibn-e-ali
gulshan-e-fatema zahra ki wo masoom kali
naam hai panjatan-e-paak mein ba harf-e-jali
hurmate deen-e-khuda jis ki shahadat mein dhali
hote rehte the jise hulla-e-firdos ataa
wo shahenshah-e-zaman...
2. Jhoola jibreel ne bachpan mein jhulaya wo hussain
dosh par jisko payambar ne bithaya wo hussain
jis pe quran ke paaro'n ka tha saya wo hussain
pani dil khol ke dushman ko pilaya wo hussain
haye us bekas-o-nadaar ko pani na diya
wo shahenshah-e-zaman...
3. Dasht mein gher liya jisko bulakar mehmaan
saamne jis ke tadapta raha akbar sa jawan
khench li jis ne jawa'n bete ke seene se sina
jis ke haathon pe huwa qatl pisar guncha daha'n
aakhri naasir-e-mazloom bhi jis ka na raha
wo shahenshah-e-zaman...
4. Khoob rote hai jo apna koi marjaata hai
laasha be waali-o-waris ka kafan paata hai
aur taras khaake use koi bhi dafnaata hai
taaziyat kay liye dushman bhi chala aata hai
haaye afsos jigar gosha-e-mehboob-e-khuda
wo shahenshah-e-zaman...
5. Haaye pamaal huwi laash-e-hussain ibn-e-ali
bhai ki laash pay mazloom bahan ro na saki
laashe urya pe lahu, chashme falaq roti thi
kalma padte the payambar ka aur haste the shaqi
laash par jamti thi khaaq aur yeh deti thi sada
wo shahenshah-e-zaman...
6. Parcham-e-hazrat-e-abbas uthaane wale
rahe aabad aza-khaane sajaane wale
aur salamat rahe nauho ko sunane wale
gham-e-sarwar me hai jo ashk baha ne wale
fatema zahra unhe khuld mein deti hai dua
wo shahenshah-e-zaman...
7. Zikr-e-maula me qalam rok na apna mehshar
dekh zainab ke nahi sar pe abhi tak chaadar
pursa deta rahe ashaar se sheh ka mehshar
rakh tasawwur mei ke hai dasht mein laash-e-sarwar
laashe urya'n ko udata rahe nauho ki rida
wo shahenshah-e-zaman...