Haay husain pyaase husain

- Miscellaneous (2014)


Haaye hussain pyaase hussain..(2)
Haaye hussain pyaase hussain -

Haaye hussain pyaase hussain ..(4)

1) Damishk mai jo gareebeon ka khafela pahoncha
Yazeede nahes ne darbar me bula bheja
Bahen se shaye ki shahadath ka waqeya poocha..(2)
Tarap ke binthe Ali ne yazeed se ye kaha

Zamee ki goad me Islam ka sitara hai..(2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Haaye hussain pyaase hussain..(4)

2) Kaha yazeed se Zainab ne aye sitham ara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashora
Mere Hussain ko jangul me ghair kar mara..(2)
Ali ka kardiya barbad ghar ka ghar sara

Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai..(2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Haaye hussain pyaase hussain..(4)

3) Suhaag ojra kisi ka kisiki kook jali
Kisi ka jalraha daman rida kisi ki chini
Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi..(2)
Kisi ki aal hai zinda me ya Ali madadi

Shakhi ne sibthe payember ka sar othara hai..(2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Haaye hussain pyaase hussain..(4)

4) Kidhar gaye mere abbaso khasimo Akbar
Wo mere aaono Mohammed wo mere noore nazar
Mai tujhko doondho kahan bezaban Ali Asghar..(2)
Bathao bibio roen mai aaj kiskis par

Jahan mai Zainab dilger besahara hai..(2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Haaye hussain pyaase hussain..(4)

5) Ye ranjo gham sitamozoor aur jafa kabtak
Rasool zadiyan balwe me berida kabtak
Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak..(2)
Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak

Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai..(2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai

Haaye hussain pyaase hussain..(4)