Pata chale na ye maa ko

- Shuja rizvi (2013)


woh saas roke hue the ke maa sarhane thi
bahut sukun se khuda kii tarap chala hai hussain

pata chale na yeh maa ko tadap raha hai hussain..(2)

1. Jo mera qarz tha amma ada kia maine
zamin me lashae asgar chupa dia hai maine
jaowaan bete ka lasha utha lia maine
mai ab bhi pyasa hu pani nai piya maine

2. Ghamo se bhai ke tuti hui hai meri kamar
jigar se akbare mehru ke kat raha hai jigar
khuda ka shukr ada kar raha hu lasho par
na roe aap bohot mutmain hu mai madar

3. Meri hi god me bacha hua mera bedam
jigar se apne chara ke nikali maine sina
gale pe khund yeh khanjar yeh ho raha hai rawaa
bus aakhri yeh mera imtehan hai amma
 
4. Zameen aa na saki raas koi baat nai
nahi madad ko koi paas koi baat nai
hui na khatm meri pyas koi baat nai
khuda ko de dia abbas koi baat nai

5. Nikalke kabr se nana meri taraf hai rawaa
woh dekho amma k baba bhi aa rae hai yaha
hai muntazir mera is dam khudae kauno makaan
sabhi yeh kehte hai shabbir hai mera mehmaan

6. Qamar yeh kehte hue mutmain hue maula
nikal ke aaega ghaibat se jab pisar mera
woh apne sath meri zulfikar laaega
woh lega karbobala aur shaam ka badla