na ghabraaye hussain

- Shadman Raza (2012)


de diya har imtehaan
beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain
na ghabraaye hussain

apne hi haathon pe apni laash le aaye hussain
beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

sina e akbar me bartchi dekh ke royi qazaa
fatema ke laal par ye imtehaan ka waqt tha
boli zainab haay hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

ek ke baad ek laasha dasht se laate rahe
god ke paalon ka dil par zakhm bhi khaate rahe
kitne laashe laaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

qabr asghar ki bana kar aaya ibne buturaab
maut boli teri daulat dekh ay umme rabab
dasht me tchhor aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

qatl ghaazi ho gaya jab ho tchuke baazu qalam
burhe kaando par utha kar khun me duba alam
dasht se jab laaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

kat tchuki jab fauj saari dil tha gham se paayemaal
tin din ke bhukhe pyaase aur zakhmon se nidhaal
jang larne aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

ek taraf zehra ka beta ek taraf nau laakh tegh
wo chamakte teer o neze sab the pyaase khun ke
zulm se takraaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

tchur the zakhmo se maula teer aur talwaar ke
aakhri sajde ki khaatir pusht se rah haar ke
jab zamin par aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

shaah ki mazlumiyat par hogayi zehra gavaah
jhaarti thi apne baalon se pisar ki qatl gaah
maan pukaari haaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

likho mazhar aabedi jab ho tchuke sab imtehaan
shukr ka sajda kiya tha sheh ne ho kar shadman
qatl hone aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain