sehra lahu lahu hai

- Shadman Raza (2012)


sehra lahu lahu hai
bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

dashte bala me sheh ka sajda lahu lahu hai

lashkar yazidiyon ka pal me jalaa raha hai
mehboob e kibriya ka wo dil dukha raha hai
insaaniyat ka dekho tchehra lahu lahu hai

bikhre parhe hainn laashe sehra lahu lahu hai

shehzaadiyaan falak ki qaidi bani huwi hain
aur tchaadaren saron se inke tchhini huwi hain
baparda bibiyon ka parda lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

jis dam kate the baazu abbase ba haya ke
mashk o alam lahu me dube the baawafa ke
pyaaon ki tishnagi par darya lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

ek shab ki jo biyaa thi deti rahi duhaayi
kaisi khushi mili jo ek pal na raas aayi
qaasim ka haay ran me sehra lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

jab ran me aaye haidar har bibi thi hazina
kehti thi dada jaan se ro ro ke ye sakina
tsipka huwa badan se kurta lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

ye tchikhti fazaayen deti hain ye sadaayen
hai khaak o khun ki sar par saadaat ke ridaayen
aulade mustafa ka rutba lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

dushvaar raaste hain manzil kathan hai saari
zakhmon se naatawaan ke taaza lahu hai jaari
karbal se shaam tak ka rasta lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai