Jab Sadre Zee Se Girpade Abbase Bawafa

- Miscellaneous (2014)


Jab sadre zee se girpade Abbase bawafa
Jangul se ayi giriyaye Zehra ki bhi sada
Akbar ne daud kar shahe wala se ye kaha
Chaliye huzoor naher pe maregaye chacha - jawab
Bedasth dushmaneon ne kiya os delair ko
Ro ayiye tarayi me hyder ke shair ko - jawab

2)     Ye sunke peetthe howe othe zamee se shah
Farmaya hai gazab mere bachche howe tabha
Ye kya kaha ke ankheon me din hogya tabha
Mazloom se bichad gaye Abbas ah ah - jawab
Mudath howi tamam Sakina ke chain ki
Toda falak ne aaj kamar ko Hussain ki - jawab

3)     Ye kheke soye naher chale shahe karbala
Maninde baid kanpthe the shay ke dasto pa
Ammama tha na farkh pe ne dosh par rida
Tasweer war the hama tan sibthe mustafa - jawab
Makhtal ki khak se tane anwar ata howa
Seena khula howa tha gareban patha howa - jawab

4)     Phonche juheen tarayi me badidaye puraab
Dekha tapa hai khak pe farzande buturab
Shaneon pe ki nazar tho jigar ko rahi na taab
Bas haye bhai kehke gira wo falak janab - jawab
Bekar dastho paa the shahe kush khisal ke
Le aye laash tak Ali Akbar sambhal ke - jawab

5)     Meon rakhe khoon bhare howe chehre pe di sada
Bhaiya Hussain aya hai awaz do zara
Haihath dono hath badan se howe juda
Bazoo ke sadkhe in tere shaneon ke mai fida - jawab
Bhaiya hamare hath tho bekaar hogaye
Tum hath khoke jafare tayiyaar hogaye - jawab

6)     Sunkar sadaye hazrathe shabeere naambar
Khola laho bhari howi ankheon ko ekbaar
Sar rakhke paye shay pe ye bola wo ziwikhar
Tashreef aap laye zahe izzo ifthekhar - jawab
Ji chahtha hai ye ke nisare huzoor heon
Kistarha utke gird phireon choor choor heon - jawab

7)     Meon rakh ke meon pe kehne lage shahe kushkhisaal
Abbas mai kin ankheon se dekheon tera ye hal
Is dum bhi hai tumhe mere adaab ka khiyaal
Jab zibha honge hum tho kise hoyega malal - jawab
Sadkhe Hussain tere tane pash pash ke
Ek baar hamko gird tho phirne do laash ke - jawab

8)     Ye sunke os dilair ne ek sard ah ki
Mashkize pe tadap ke bahasrath nigha ki
Sar sharam se chupa liya godi me shah ki
Halath tabha hogayi hyder ke mah ki - jawab
Jab dil ko bekali ho tho kistarha kal pade
Zanu pe shay ke ankheon se anseon nikal pade - jawab

9)     Farmaye shay ne kisliye rothe ho bar bar
Lo ab kuch apna haal kaho tum pe mai nisar
Kya ji pe hai bani jo tadapthe ho bar bar
Ki arz os jari ne ke hai waqthe ekhtezaar - jawab
Akha se chootne ka khalakh hai gulaam ko
Paonga ab kahan shahe gardeon mukham ko - jawab

10)     Ye kehthe the ke phir gayi ankheon ki puthliyan
Hichki ke sath agayi sookhe labeon pe jaa
Hasrath se dekh kar tarafe shahe inso jaa
Duniya se kooch kargaye abbase naujawa - jawab
Choda jari ne sath shahe mashrekhain ka
Ek ghul utha ke margaya ashiq Hussain ka - jawab