Pidar Ki Mauth Hai Marna Jawan Bete Ka

- Miscellaneous (2014)


Pidar ki mauth he marna jawan beta ka
Safar jahan se karna jawan bete ka
Ghazab hai khoon mai bharna jawan bete ke
Sitham hai ji se guzarna jawan bete ka - jawab
Shabab tha ke shahe mashrekhain se choote
Moheboo peeto ke Akbar Hussain se choote - jawab

2)     Khuda pidar ko na dhiklaye marge rahathe jaa
Kalega zakhmi ho jab dil ko phir kharar kahan
Odhar tho seenaye Akbar se guzri noke sina
Lahoo idhar howa chasme imame deen se rawa - jawab
Tarap ke janibe gardeon nigha ki shaiy ne
Zameen hil gayi ek aisi aah ki shaiy ne - jawab

3)    Pukarthe howe daude mere shaheed pisar
Mere jawa mere mehroo mere sayeed pisar
Mere hasee mere yusuf mere rasheed pisar
Khareeb ho kaheen maidan se ya bayeed pisar - jawab
Pidar pe aaj nayi waredath hai beta
Khabar nahi mujhe din hai ke rath hai beta - jawab

4)    Kidhar gaye mere gul pairahan Ali Akbar
Mere khaleeq mere kam sukhan Ali Akbar
Jawana marg ghareebul wathan Ali Akbar
Ojad kar gaye mera chaman Ali Akbar - jawab
Bulake ghar se yahan ashkhiya ne loot liya
Duhayi haike muje karbala ne loot liya - jawab

5)     Pukarthe the ke ay shair phir pukar mujhe
Nahi bathane ke lasha ye nabakar mujhe
Tere firakh me hai zeesth nagawar mujhe
Sada sunade mai sadkhe phir ek bar mujhe - jawab
Gale lagalo ke seena hamara jaltha hai
Kalega meonse koyi damne ab nokaltha hai - jawab

6)     Pukari dewdi se bano pisar milake nahi
Bathao marhame zakhme jigar milake nahi
Sitham ke abar me mera khamar milake nahi
Ali ke laal wo aali gohar milake nahi - jawab
Shitab lao mere mantheon ke pale ko
Tumhi se loongi mai apne muradeon wale ko - jawab

7)     Sada ye sunthe hi sultane behrobar daude
Ye darde dil the ke thame howe jigar daude
Khabhi tho fauj pe maninde shere nar daude
Kabhi idhar gaye rothe kabhi odhar daude - jawab
Luti howi wo kamayi basad talash mili
Zamee pe khoon me ghaltha pisar ki laash mili - jawab

8)     Ajeeb halathe farzande naujawa dekhi
Atash se hoonteon pe nikli howi zaban dekhi
Khamar se chehre pe zardi labeon pe jaa dekhi
Kalega phatgaya seene mai jab sina dekhi - jawab
Pidar ke saamne bete ka dam okhadtha tha
Hussain dekhthe the aur ghar ojadthe tha - jawab

9)    Khareeb laashe pisar baitkar ye farmaye
Zameene garm se beta otho ke ham aaye
Sada ye sunthe hi Akbar ne hath phailaye
Lipatke laash se shai lab pe ye sukhan laye - jawab
Gale lagalo Mohammed ka mai nawasa heon
Zaban dikhake kaha ya Hussain Pyasa heon - jawab

10)     Ye kehke shahse kheenchi gareeb ne ek aah
Jigar me hone laga dard aahke hamrah
Ajeeb yaas ki nazreon se dekhkar rukhe shah
Kahake ashhodohan lailaha illalla - jawab
Bas aur kehna sake kuch ye haal ghair howa
Sooye behishith gaye khatema bakhair howa - jawab