Gar ho meri hayaat mere ikhteyar me

- Shadman Raza (2009)


Al-ajal al-ajal ya imam e zamana al-ajal..(2)
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me
maula ab aap pardae ghaibat uthaiye, do din to zindagi ke guzaru bahar me

1. Is waqt garche adl se khali zameen hai
mazloom ke makaan me zalim makeen hai
duniya sitam sha’ar hai maghloob deen hai
maula zaroor aaenge mujhko yaqeen hai
mujhko yaqeen hai..(2)
aaegi kuch kami na mere aitbaar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

2. Sab log khwahishat ke ab hogaye ghulam
Iblisiyat ka daur hai be pardagi hai aam
peene lage lahu hai to khane lage haram
kehta hai dil ke bus abhi aajaiye imaam
aajaiye imaam..(2)
gar der hai mashiyat e parwardigaar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

3. Mushkil ke waqt humne pukara hai ya husain
ghaibat ke imtehaa me sahara hai ya husain
qurane ehle bait ka paara hai ya husain
haqne hamare dil pe utara hai ya husain
utara hai ya husain..(2)
reh kar dua e binte nabi ke hisaaar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

4. Is daur pur khatar me hai dushwar manzile
maula is imtehan me dil ko sukoon de
roza namaze haq ke manasik ada kare
hum sham karbala ki ziyarat ko jaa sake
ziyrarat ko jaa sake..(2)
aajaega qaraar dile beqaraar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

5. Khud kash hai bam dhamake hade zulmo jaur hai
kuch saamne hai aur pase manzar kuch aur hai
abhi yazidiyat ke mazalim ka taur hai
garche ye momineen pe mushkil ka daur hai
mushkil ka daur hai..(2)
duniya ke dard o ghum hai bhala kis shumaar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

6. Ehle aza ko jur'at o tadbeer chahiye
dekha hai khwab khwab ki tabeer chahiye
taskeen qalbe madar e shabbir chahiye
ab jannat ul baqi ki tameer chahiye
tameer chahiye..(2)
ajaegi bahar is ujde dayaar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

7. Alfaaz se dilo pe hukumat mili mujhe
mazlumiye husain se taqat mili mujhe
mimbar mila husain ka izzat mili mujhe
badle me ek ashk ke jannat mili mujhe
jannat mili mujhe..(2)
ghaata kabhi hua nahi is karobaar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me

8. Dar par tumhare hote hai har roz mojize
kitne ameer hogaye is dar ki bheek se
sab apne apne hisse ki khairat le gaye
zikre imame asr me hissa qamar mile
hissa qamar mile..(2)
mai mutma'in hu mai bhi khada hu qataar me
sadiya guzar dunga tere intezar me
gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me
sadiya guzar dunga tere intezar me..(3)