Kaash abbas na marey jaate
- Batul and Fatima Dhamani (2009)
Kaash abbas na maray jaatey (x5)
Dono bazoo woh shehenshaa hai wafa key thaamey
Laashey abbas pey shabbir bukah kartey they
Bhai tum baad hamarey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Is tarha lagh ti naa akber key kalejey mein sinah,
Is tarha hoti naa sadaat key khaimo mei fughaan
Yun naa zainab key saharey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Ghardaney shaa pey yun ran mei naa khanjar chalta
Yun naa khursheede imamat sarey maqtal dhalta
Yun na sar neyzooh pey sar jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Hotey abbas dilawar to na khaimey jaltey
Shaam-e-Ghurbaat na sakina ko tamachey laghtey
Ghosh waarey naa utarey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Hotey abbas to chinti naa rida zainab ki
Paawo mei aabid-e-muztar key na beyri dalti
Taaziyaane bhi naa marey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Hokey paabande rasan sayyad-e-sajjad chaley
Neher ko deikh ke rotey huwey yeh kehney laghey
Sab watan saath hamarey jaatey
Kaash abbass na maray jaatay (x2)
Aaj bhi aati hai yeh qabrey sakina sey sadaa
Aei chacha laati naa zindaan mei yun hamko qaza
Saath aghar hum bhi tumhare jaatey
Kash abbas na mare jatay (x2)
Haal-e-Akber jo koi pooch ta tha noor-e-ali
Ro key zainab yahi kehti thi sadaa noor-e-ali
Kaash abbas na maray jaatey