Baynul Haramain

- Ali Safdar (2013)


Baynul Haramain..(4)
Is taraf maula husain, aur us taraf ghaazi abbas..(2)
Pursa dene aaye hai saari duniya ke ghulam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

1. Har zaba nauha kuna har aankh se aansu rawa
har aza khane saje arsa e ghum aagaya
seena zan hai matami fir moharram aagaya
har kaneeze ghum zada pursa dete hai ghulam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

2. Baap se rukhsat hua wo jari kadiyal jawa
god me bete ki laash aur maula ashkbaar
khech kar barchi kaha ye pisar se ek baar
jaa ke akbar tum piyo khuld me kausar ka jaam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

3. Bazuo me shaah ke maamta ki jaan thi
deke qurbani gai sajde me umme rabab
hurmala ke teer ka ek tabassum tha jawab
dil me hai bacche ke hai nanhe shehzade ka naam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

4. Kam qayamat se na thi dasht e ghurbat ki wo raat
aaho zaari ka wo shor khaimo se uthta dhua
haaye wo sabir imaam tauqo zanjeer e gera
berida ehle haram aur wo bazare shaam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

5. Jaa rahe hai apne ghar unke *
ae phuphi amma kabhi apne ghar jaenge hum
ya isi zindaan me ghut ke marjaenge hum
nanhi shehzadi tera ghar bana zindane shaam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

6. Kar rahe hai pur sitam daur e hazir ke yazid
har ghadi tayyar hai hum shahadat ke liye
hai husaini sar bus ab is sa'adat ke liye
jaan do haq ke liye karbala ka hai payaam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)

7. Ta qayamat la zawaal aur ta abad zinda kamaal
hai wafa abbas ki aur paigham e husain
deen jo laae nabi hai wo islam e husain
sar jhukate hai yaha ake safdar khaso aam
Ashko ka nazrana hai ae mere mazloom imaam
Baynul Haramain..(3)