Aarzoo hai ye maula
- Ali Safdar (2007)
Aarzoo hai ye maula - 4
1. Zulmo jabr ke hamle bekaso pe jaari hai
Adl se adalat se munsifin haari hai
kya bataye aye maula, zakhm itne kaari hai - 2
Ab to aap aa jaaye kissa mukhtasar maula
2. Masjide maqatil me dhalti jaa rahi hai sab
kab tha zehne insaan me bandagi ka ye matlab
deen ko mitadenge, asre nau ke ye marhab - 2
gayb se nikal aaye ab to jaldtar maula
3. Kabre fatema zehra saayeba ko tarse hai
Chashme mustafa se khun misle abr barse hai
Bugz kalma goyo ko, aaphi ke gharse hai - 2
har taraf andhera hai kijiye sahar maula
4. zad pe hai azadari Fatwasaaz logo ke
karzo mustahab me hai silsile azaano me
ho gaye aqeede do, katl khaandano ke - 2
Fir se ho kaum apni sheer aur shatar maula
5. Khums hum lahu ka de unko hai pareshaani
nauhe ghum ke ham likhe unko hai pareshaane
majliso me hum jaage, unko hai pareshaani - 2
kaun humko rokega aap ho agar maula
6. Bhej kar arize hum intezaar karte hai
aap aanewale hai aitbaar karte hai
Matami jawaano se, aap pyaar karte hai - 2
humko farshe ghum per bhi dekhe ek nazar maula
7. Karbala ka har manzar aap se nahi pinha
sinae ali akbar aap se nahi pinha
halqe bezabaan asgar, aap se nahi pinha - 2
jald katiye aaker kaatilo ke sar maula
8. Chadaro ke lutne se shimr ke tamacho tak
Tashnalab yateemo se sholabar khaymo tak
Laashe be burida se, be mazaar lassho tak - 2
Ab zahur kar dije sab hai muntazir maula
9. Nahiya ziyarat me jispe aap rote
aur hijabe gaybat me jispe aap rote hai
mar gaya jo gurbat me, jispe aap rote hai - 2
aaiye kare girya milke umr bhar maula
10. Humsare haji per hai shiddate alamdari
hai sadaye muztar me aisa ranjo gum taari
Aapke mohibbo per ghum hai dum ba dum taari
Pursa lijiye humse farshe khaak per maula