Zinda hai tere naam se ye mazhabe islam
- Asgar Khan (2011)
Hussain ya hussain x6
Zinda hai tere naam se ye mazhabe islam,
Ae hussain tujhko salaam x2
Har daur me roka gaya matam tera phir hua,
Duniya pe hai chaya hua maula mere tera nizaam..
Tadpa zamee'n pe naujawa khaichi kaleje se sina,
Hilne lage kaono maka kehne lage mursal kamaa..
Katt ta raha sukha gala phir bhi zubaa'n pe shukr tha,
Tu sabr ki hai inteha kyu na kahe gyaara imaam..
Talwaar ya zakhmo jigar naize ho ya tiro tabar,
Tere badan ko chumkar sabne kiya yahi qalaam..
Matam ka hai ye maujiza seena musalla ban gaya,
Rona ibadat kar diya jaari hai tera faize aam..
Kya tha taqallam wo sama rone lagi sab bibiya,
Chal laga jab karwaan kehne lage tezi tamaam..