Nana tere hasnain hai hum
- Asgar Khan (2012)
Sayyada fatema,
Sayyada tahera,
Raziya Marziya,
Sayyada fatema..
Nana tere hasnain hai hum ghame madar sunane aae hai,
Teri turbat pe laadle tere chand tukde sanad ke laae hai..
Innama roz jispe padhte the ab wo darwaza jal gaya nana,
Tere dar pe diya jalane hum usi dar ko bujhake aae hai..
Daag durro ke kaise dikhlati baap ho tumse beti kya kehti,
Jis kisa ke tale the hum saare neel uske tale chupaae hai..
Dil pe aai thi maut ki zarbat sar ke baalo tak aa gayi gurbat,
Jab ye kehte the log zahra ne deen ka mas'ale bhulaae hai..
Mushkilo se kadam uthati hai do kadam chal ke bait jaati hai,
Bin sahare wo chal nahi sakti zakhm aise jigar pe khaae hai..
Haath uthta nahi pehlu se haay mohsin ke bain uthte hai,
Maa ka bachna muhaal hai nana ab yateemi ke sar pe saay hai..
Bole akbar ye roke shehzade sirf tehreer hi nahi thi wo,
biz'ato minni ke wo tukde the jo hawa me gae udaae hai..