Ya mustafa ya mujhtaba

- Afroz (Azhar Abbas) (2012)


Ya mustafa ya mujhtaba....

Ya mustafa ya mujhtaba gham hai do massom ka....

Wo mohammad ye hasan dono hai zere kafan,
Deen ne nauha pada....

Do namazi uth gaye masjido ke dil hile,
Ghamzada qaba hua....

Aaj duniya me nahi wo yatimo ke amee'n,
Sab gharibo ne kaha....

Sayyada zakhmi jigar gham sahe ye kis kadar,
Ro rahi'n hai fatema....

Ghamzada shahe najaf chal diye ghar taraf,
Padh rahe the marsiya....

Mayyate shabbar uthi aa gae milkar shaki,
Dafn na laasha hua....

Saaf zaahir ho gaya karte hain ye ashkiya,
Karbala ki ibteda....

Ab kalam qaiser rakho fatema ke ghar chalo,
Karna hai matam bapa....