Aap aajae jo maula

- Shahid Baltistani (2012)


aap aajae jo maula hum ye manzar dekhlein
halqae matam bana kaabe ke andar dekhlein

aap ke zakir ki hai meraj mimbar aapka
aur aap mimbar par ho hum meraj e mimbar dekhlein

inteqame karbala ki de ali akbar azaa
murtuza ki tegh se udte hue sar dekhlein

hum isi lalach me peete hai mae hubbe ali
aabe kausar aapke chullu me peekar dekhle

wo to ghazi hai agar mai bangaya tera ghulam
arey meri thokar me jahaa wale samandar dekhlein

daaen buzar baaen qambar saamne salmaan ho
ek namaz aisi bhi hum kaabe me padhkar dekhlein

munkire ailane khum pe jis tarah kankar gira
munkire matam pe bhi yu girte patthar dekhlein

mehdiye qayam ka hoga aapke ghar me qayaam
arey farshe majlis aap bhi ghar me bichakar dekhlein