Jab rida sar se chini

- Sahibe Aalam (2011)


Haye meri zainab, haye meri zainab..(4)

Jab rida sar se chini, tu sada deti rahi, tu na aya gazi..(2)
Tere hatho'n me rasan, dekhta kaise bahen
Bhai bekas tha tera you na aya gazi

1. Ye tujhe bhi hai khabar dukhtare khaire bashar
Me utha sakta na tha hukme shabbir pe sar
Mere bazu the juda mashk se paani baha
Agayi mujhko haya you na aya gazi

2. Sunke mai teri sada ye tho mumkin hi na tha
Me na aata kaise dhukhtare shere khuda
Be rida dekhu tujhe  kab tha manzoor mujhe
Hausla mujhme na tha you na aya gazi

3. Mera chalni tha badan teer the misle kafan
Khoo'n se rangeen tha ban bhai bekas tha bahen
Ghurz tha sar pe laga gash me tha bhai tera
Tera shikwa hai bajha you na aya gazi

4. Jang mai kar na saka hukme shabir jo tha
Tha sakina ke liye dum bhi hotho'n pe ruka
Mashk zakhmi jo hui ruk gai saans meri
Phir qadam uth na saka you na aya gazi

5. Jab huwa thanda alam amma zahra ki qasam
Kis tarha thujhse kaho kaise nikla mera dam
Wo teri aaho fugha jalte khaimo ka dhuwa
Sharm ne maar diya you na aya gazi

6. Jab me ghode se gira aayi amma ki sada
Ae shahensha e wafa aa meri god me aa
Rab ne bejha tha jinhe dekhta kaise unhe
Khu tha ankho me jama you..............

7. Ye to acha hi huwa aankh me teer laga
Yu rasan basta tujhe dekhna padta mujhe
Muh dikha sakta na tha ye alam dar e wafa
Dil mera doob gaya you.............

8. Tune jo zulm sahe kis tarha bhai kahe
Noke neza pe bhi mai band ankhein tha kiye
Sham tak sath gaya tere pathar jo laga
Mai bhi naizey se gira you...........

9. Bhai ki tooti kamar dekhe hashim ka qamar
Tere gazi ka alam ho gaya khoon me tar
Pyase bacho ke liye pani lana tha mujhe
Wada pura na huwa you............

10. Rroya rehan qalam karke ye baat raqam
Khoon me doob gaya tere ghazi ka alam
Sar jo zakhmi tha mera aankh me khoo'n tha jama
Aagayi mujhko qaza you na aya gazi.