Qaid khaana hai
- Fatema Ladak (2013)
Qaid Khana hai
(Sakina haay sakina) x2
Haaye zindaan haay haay sakina
Haaye pyaasi haay haay sakina
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Ab sakina keliye yahi aseeri ghar hai
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Yaad asghar ko ajab ghum ke hawale se kiya
Maa yeh kehti thi yehi teer usse ran mei laga
Daag rassi ka jahaa halqe sakina par hai
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Apne bacho ko tho sinno se lagaye huweh hai
Par sakina ke liye sang utha yeh huwe hai
Ehle aulaad hai har shaami magar patthar hai
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Baap ki gowd mei sar rakhke jo sowti thi kabbhi
Qaid khaane mei koi dehkhe garibi usski
Aaj aagosh-e-sakina mei padar ka sar hai
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Hind ki beti ye boli ke khulle sar kyu ho
Roke boli ye sakina ke khabar hai tumko
Noke neza pe wo choti si meri chaddar hai
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Roke phir bibi ta-aryf yu karati apna
Mei sakina hu wo neze pe hai asgar mera
Wo jo ik chaand sa sar hai wo ali akbar hai
(Qaid khana hai aseeri hai sitam hai dar hai) x2
Haye masoomo ki masoom si bateh akbar
Shaam ke batcho se kehtithi sakina ahksar
Hum tho mehmaan hai medineh mei hamara ghar hai