Udhar pisar ke jigar se
- Fatema Ladak (2013)
Udhar pisar ke jigar
Idhar khayam may mader ki jaan nikalti hy
Janaza maa ki tamannaoon ka nikalta hy
Kisi ky ghar se Jo maiyat jwaan nikalti hy
Tarap ky boly yae mola ko dekh kr Akbar
Sina nikalti hy baba na jaan nikalti hy
Madeeny Jana hy khat ka jwab ban ky isy
So ban ky qasidy akbar azaan nikalti hy
Nikal ky bety ky seeny Sy maa ky dil Mae garhi
Yhan Sy barchi bhla ab kahan nikalti hy
Parha Husain ny so bar khat ko lashy pr
Magar Jo hasratay dil hy kahan nikalti hy
Ujaly ko nahi Beteh ko dhundhny akbar
Bujha Chragh liyae aek maa nikalti hy