Batlayei(n) hamei(n)
- Fatema Ladak (2013)
Batlaein humain Bibi Fizza
Jorr Kar Hathou(n)ko kahtay hai(n) yeh sub ahl-e-aza
Aey Kaneeze Maadar-e-Shabbir, yeh hay iltija
Kya hoa thakuch bataie(n) Asr kay hangaam tak
Aap Zainabkee sipar thei(n) Karbala say Shaam tak
Kaisay guzree thee Karb o BalaA, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Kya shaam mai(n) aap nay daikha tha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Shabbir bohat jab kamsin thay, senay say lagaatee thei(n) kaisay
Kaisay kartee thei(n) pyar unhai(n), goudii mai(n) uthatei thei(n) kaisay
Kis tar ha paaliti thie(n) Zahra, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Jab maqtal say bojhal qadmoo(n), khaimay kay ander aey thay
Shabbir gaey thay maqtal say, ik ghatthree baandh ka laey thay
Kya daikha tha Qasim ka laasha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Sheh laey Asghar ko run say, ur day dya maa(n) ko ik laasha
Maa(n) gardun daikh ka kahtee hay, cheh(6) mah ka bachcha nahr howa
Kya kahta tha Asghar ka chehra, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Zahra kay dilbar khaak pa thay, sub laashay uttha kar lay bhe gaeay
Thei(n) aap kahaa(n) Bibi Fizza, Jub laash pa ghorray dorray thay
Kya haal tha us dam Zainab kaa, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Daikha tha shaam e ghareeba(n) mai(n), kya bint e shaah e madeena nay
Bay sar kee laash ka tha seena, paie the jaga jow Sakeena nay
Pehchaan lya kiasay laasha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Jab paani aya zinda(n) mai(n), Bachchi nay paani kaisay pya
Jab haath bandhay thay Zainab kay, Bhai ka matam kaisay kya
Majlis hoee sheh ki kaisay bapaa, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Jab gurz laga zakhmi sar par, lamhay thay mussebat kay wo karray
Lehratay thay pusht pa ghorray kee, thay jism mai(n) kitnay teer garray
Ghorray say giray kaisay Mola, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Kanou(n) say guhar jab chintay thay, khaatee the tamanchay jab bachchi
Kya kahta tha Abid ka chehraa, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza
Jalta hoa kaisay daikhtee thi, Asghar kay jhoolay kow maadar
Zainab kay sar say haey QAMAR, kis tarha khaainchi gayi chadar
Kisaay yeh manzar tha daikha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza