Imam-e-Asr (ATF)
- Fatema Ladak (2013)
Imam-e-asr ke
Imam e asr ke hounton pe hai hussain hussain x4
Basa hai aankhon mei zahra ka noore ain…noore ain hussain
Galay mai(n) teer hay, asghar ko yaad kartay hai(n)
Jigar pa haath hay, akbar ko yaad kartay hai(n)
Na mil sakay ga kabhee tairay dil ko chain hussain---- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
Bachaya deen ko sadqa utaar kar sar ka
Rukh e hussain pa taza lahoo hay asghar ka
Lahoo say dei(n) kee barrhatay hai(n) zaib o zain hussain--- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
Rakhay hai(n) samnay abbas kay katay bazoo
Hazaar saal bahay hai(n) yeh khoon kay aansoo
Jigar ko kat-tay hai(n) tairay shor o shain hussain---- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
Shikista pahloo hay is waqt maadar e dilgeer
Parra hay khaak pa pamaal laasha e shabbir
Ajab hay aalam e ghurbat mai(n) noor e ain hussain----- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
Jahaa(n) pa hoti hay majlis imam hotay hai(n)
Aza kay farsh pa woh hichkiou(n) say rotay hai(n)
Koee bhee sunta nahi(n) teray shoor o shain hussain--- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
duaeay fatima zahra bhee unkay saath mai(n) hay.
Lahoo tapaktee hoiee zulfiqar haath mai(n) hay
Bus aanay walay hai(n) zahra kay noor e ain hussain --- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
Sar e hussain nay daikha hay shaam ka bazaar
Woh bay ridaeay zaianab woh aabid e bimaar
Lahoo bahatay hai(n) har waqt teray nain hussain --- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain
Humaray saath hee matam imam kartay hai(n)
Na sun sakai(n) gay qamar koee tairay bain hussain. --- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain