Mere laal Ali Asghar (AS)
- Fatema Ladak (2012)
Mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Is shaan se larna hai ke heraan ho lashkar, mere laal ali asghar
Maidan me darna nahi tum khoone ali ho
Tum bhi to jarri ho
Maa ne yeh kaha nanni si dastaar bana kar, mere laal ali asghar
Tum maa ki tammanao ki abbas ho beta
Ik aas ho beta
Zaalim ko batana hai yeh maidaan me jaakar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Taasir mere dood ki iss waqt dikhado
Madar ko bacha lo
Zehra ki kanazi ki sanad hai tere uppar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Bin tere na ji paaungi yeh humkeh khuda hai
Khaliq ki raza hai
Saayeh mei to jaaungi magar jaaungi markar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Naade ali ke wird ki talwar banadi
Har jang sikhadi
Maa ne kiya tayyar kaleje se lagakar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Har simt tujhe doondti dar dar mei phirungi
Faryaad karungi
Kutch pal mei ujar jayegi iss dasht mei madar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Choti si aba aurh kar mehmaan banakar
Quran bana kar
Maadar ne diya leke challe khaime se sarwar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar
Yawar jo chala khaimeh se yeh chota alamadar
Sarwar ka wafadaar
Kohram utha nawha parhe gum zada madar, mere laal ali asghar
Maa ne yeh kaha sine se asghar ko laga kar, mere laal ali asghar