Khoon ke ansu

- Fatema Ladak (2012)


Khoon ke aasoo rota hun

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

Hay samnay meray karbobala, mai(n) khoon kay aansoo rota hou(n)

 

Jeetay raho sheh kay azadaroo, kab tum nay shahadat daikhee hay

Tum nay jo mussebat sirf sunee, main nay woh museebat daikhee hay

Ashkon kay bahaoo tum darya, main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Ghafil nahi tum say aey logo, tum sab kee hifazat kartaa houn

Shabbir ka matum karta houn, din raat ibadat kartaa houn

Karta hou khuda ko jab sajda, main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Hum aal-e-nabee par zulm huwe, aur khoon say zameen yeh laal huwi

Lasha sheh ka pamaal huwa, zahra ki lahad pamaal huwi

Marqad pe nahi koi saya, main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Abbas giray the ghoorray se, manzar yeh nazar main phirtaa hai

Woh jis kay bazoo katt jayen, kaise woh zamin par girtaa hay

Abbas ne kya mahsoos kiya, main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Jab hoga zahoor kahun ga main, qasim lay lo akbar lay lo

Yeh aun-o-muhammad hai bibi, bibi apna asghar lay lo

Maa khali jhulati hay jhoola, mai khoon kay aansoo rota hou

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Ab tak hay sakeena qaid wahaa, godee mai usko utha louga

Jab ghaibat say main niklounga, zindan say usko nikaloonga

Kano say hay uskay khoon behta, mai khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Tayyar agar tum ho jao, zahir mai abhi ho sakta houn

Aey meray logo aaj bhee mai, bus rah tumharee takta houn

Dukh kon samajhta hay mera, main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Kitnay shahron bazaaron nay zainab ko khulay sar daikha hay

Abid ki jo ankhon ne daikha main ne woh manzar daikha hay

Aankhon main hai abid ka chehra, main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Darbaar pe babe-saat ki mushkill who sehthi kis kay lieay

Main soochta houn woh zainab ne qurbanee di thi kis kay lieay

Bahnain nahi karti jab parda main khoon kay aansoo rota houn

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

 

Kyun aaj yeh ahal e aza mere, maqsad ko bhulaeay jatay hai

Aamaal miray logoun ke qamar, jab mujh kow dikhae jatay hai

Mujh ko hota hay ranj barra, main khoon kay aansoo rota hou

 

Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn