Hussain (AS) teri azadar
- Fatema Ladak (2011)
Hussain teri azadar
Hussein teri azadar hai azadari
Ibadato ki alamdar hai azadari
Yazeede waqt se zainab teri dua ban kar
Jihaad kerne ko tayaar hai azadari
Ameer-e-shaam ko jo motebhar samjta hai
Ussiki nazro mei bekaar hai azadari
Bus bibi raazi hojaye x2
Jisse na rone diya bhaio ke laashe par
Ussi garib ko darkaar hai azadari
Hussein ke liye marham bani hai zakhmo ka
Karare abideh bimaar hai azadri
Tamache khake batayaa hai yeh sakina ne
Ghameh hussein ka izhaar hai azadari
Dayaare shaam mei usska asar hai aaj talak
Huwi jo barsare darbaar hai azadari
Rukki hai aur na rukegi kabi yeh hashr talak
Duae ahmade mukhtar hai azadari
Milla hai ghabate kubra mei yeh sharaf ussko
Imaame asr ki zawaar hai azadari
Yazidiyat se takkallum kahun sambhal jaaye
Hamaare haath ki talwaar hai azadari