Haye ghazi (AS) na raha
- Fatema Ladak (2011)
Haye ghazi na raha
Dasht-e-purhol say aati hay musalsal ye sada haye ghazi na raha
Ho gaya hashr bapa sheh nay jo ro kar ye kaha haye ghazi na raha
1- iss say bhar kar kahan tutay ge qayamat koi
Abb nahi apni ridaoon ki zamanat koi
Hay muhafiz jo rida ka wahi marnay ko chala haye ghazi na raha
2- sheh nay girtay huway daikha tha jo ghazi ka alam
Tham kar apni kamar bolay thay yay shah-e-umam
Teray marnay say kamar tuti hay meri ba khuda haye ghazi na raha
3- hoook se utthi hay ye daikh kay ab dil main meray
Ankh main teer hay bazu hain katay bhai teray
Isss gharibi may meray bhai huway tum bhi juda haye ghazi na raha
4- thi wasiyat lab-e-abbas pay ye bad-e- salam
Lash ko lay kay nahi jaiyay ga sua-e-khayam
Meray mola mujay aati hay sakina say haya haye ghazi na raha
5- sar jhuka ay huway maqtal say hain aaye sarwar
Lash ke tarha alam ko hain uthaye akbar
Ghazi aaya nahi aaya hay alam khoon main bhara haye ghazi na raha
6- mashk kay band hain ya dastay sakina ashhar
Aysa lagtha hay kay kehti ho hazina ro kar
Pani mangoon ge nahi ran say palat aaoo chacha haye ghazi na raha