Ham dekhenge
- Nadeem Sarwar (2006)
Allahuma salle ala muhamaddi-wa aal-e-muhammad
Bismillahir rahmanir-rahim
Ya Muhammado ya Aliyyo, ya Aliyyo ya Muhammad
Ikfayanee fa innakuma kaafeyaa(n)
Wansuraani fa innakuma naasiraan
Ya Mawlana Ya Sahebuz-zamaan
Al ghauth, al ghauth, al ghauth
Adrikni, adrikni, adrikni
As-saa'at, as-saa'at, as-saa'ah
Al-'ajal, al-'ajal, al-'ajal
(Yabnaz-zahra) x3 Maa Zehra
(Yabnaz-zahra) x3 Ya Fatema
Ya sayyedi, ya murshadi
Ya maulaayi, ya hassan mujtaba
Shaam-o-sahar, ay rahabar
Ay tajdaar-e-kaun-o-makaan
Noor-e-khuda, ay muntazar
Hai muntazir ye saara jahaan
(Yabnaz-zahra) x3 Ya Fatema
(Yabnaz-zahra) x3 Ya Fatema
Kehte hai sab, jinn-o-bashar,
Arz-o-samaan-o-dashta-e-jamal
Hai mushrekee(n), lakho(n) agar
Hai muhskilo(n) ka tu hi hal
Aane lagi, dekho sada
(Hayya ala khayril amal) x2
(Ham dekhenge) x2 lazim hai ke ham bhi dekhenge (Ham dekhenge) x2
- (Wo roz ke jiska wada hai) x2
Jo lauh-e-azal pe likha hai
Jo tera hai jo mera hai
Konain mei jiska charcha hai
Jab lauh-o-qalam ke chehre se
Parde sarkaaye jaayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge - (Kuch raat gayi kuch baki hai) x2
Pardo(n) mei sahar kuch kehti hai
Dil par jo ye dastak hoti hai
Ghaybat mei koi ik haadi hai
Jo hazir-o-nazir-o-qaaim hai
Wo aayenge haa(n) ayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge -
Haa(n) dekh badalte mausam ko
Kya ho gaya nazm-e-aalam ko
Cheyn aata nahi hai akhir kyu(n)
Be chayniye nasl-e-Adam ko
Dene de sada us qaaim ko
Har uljhan wo suljaayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge -
(Ye Jaffer-e-Sadiq ne hai kahaa) x2
Wo roz juma hai ashura
Jab unki sawaari ayengi
Tazeem karengi karbobala
Kaabe se azaa(n) phir gunjengi
Wo eik alam lehraaenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge -
Wo masjid-e-kufa mei aakar
Majlis ka sajaayenge mimbhar
Wo pursa lenge duniya se
Shabbir ka khud zakir bankar
Zainab ke masaaib karke bayaa(n)
Mimbhar pe hi ghash khaajayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge -
(Ankho(n) mei imam-e-zamana ki) x2
Rehti hai sada ik sath hijri
Kehte hai ziyarat-e-nahiya mei
Mei bhool nahi sakta hu kabhi
Maa baine zameen-o-zeen jo tha
Wo laasha bhool na paayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge -
(Paighaame imam-e-zamana hai) x2
Gar jald mujhe bulwaana hai
Taqwe ke musalle par jaakar
Paighame amal pheylaana hai
Jab ilm ke deep jalaawonge
Ham ghaybat se aajayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge -
(Tajeel ho ab ibn-e-zehra) x2
Hai vird "Rehan-o-Sarwar" ka
Duniya ko zaroorat aap ki hai
Deti hai sadaaye karbobala
Wo roz ke jis ka wada hai
Wo wada aap nibhaayenge
Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge