Pehlu bhi shikasta
- Fatema Ladak (2010)
Pehlu bhi shikasta
Pehlu bhi shiksta hai Turbat bhi Shiksta hai.
Kya haal yeh ummat neh x2 Zehra ka banaya hai
1. Khatoon koi gham se, yu choor nahi dekhi, aisi koi duniya mei mastoor nahi dekhi, athara baras mei hi lagtee jo zaeifaa hai.
Pehlu bhi shiksta hai Turbat bhi Shiksta hai.
2. Marhaam tere zakhmo ka bibi na mila aab tak, aulad e ummaya ki, baqi hai jafaa aab tak, roney pe bhi pehra tha, turbat pe bhi pehra hai.
Pehlu bhi shiksta hai Turbat bhi Shiksta hai.
3. Do ayse janazeh hai tariki mei jo outeh
Bus ghar ke hi logo ne dono ko diye kandhe
Ik fatema zehra hai ik baali sakina hai
4. Masuma-e-kum tere bhai se duwaa lene
Pursa teri daadi ka aateh hai tuje dene
Bibi tera roza bhi tasveer-e-bakaiya hai
5. Hairat hai musalma ne yeh zulm kiya kaise
Yeh ajar risalat ka ummat ne diya kaise
Jalta huwa bibi pe darwaza giraya hai
6. Haybat se larazti hai khud mowt jahaan aakar
Karte the salaam ahksar sarkaar yehaa aakar
Zalim na jalaa isko yeh dar dar-e zehra hai
7. Mehdi se koi pooche kya us pe guzar ti hai,
awaz baqyie se jab rooney ki ati hai,
aankhoo se lahoo rokar woh bhi yehi kehta hai.
8. Tasveer hakikat ki khwabo ko banaa dijiyeh
Eh bibi takallum ko taabir beta dijiyeh
Maatam teri turbat pe hote huwe dekha hai
Pehlu bhi shiksta hai Turbat bhi Shiksta hai.