Maa ye kehti thi

- Fatema Ladak (2010)


Maa ye kehti thi

 

Maa yeh kehti thi eh naunihal
Meri izzat ka rakhna khayal

 

Apne dada ka ban ke jalaal
Meri izzat ka rakhna khayal

Apne baba pe hokar fida
Karna haq doodh ka tum ada
Warna madar ko hoga malaal
Maa yeh _ _ _ _ _ _
 

Jago amma ke dil ke sukoon
Tum pa nad-e-Ali dam karu
Ran me pehla hai teero ka jaal
Maa yeh _ _ _ _ _ _
 

Maine mana ho tashna jigar
Pani pina nahi maang kar
Tashnagi chahe karde nidhaal
Maa yeh _ _ _ _ _ _
 

Naksh pa bhi zammee par na ho
Khof ke bal jabee par na ho
Apne baba ki ban jana dhaal
Maa yeh _ _ _ _ _ _
 

Lab kamaa aur zabaa teer ho
Muskurahat ki shamsheer ho
Mazi khayber ka ban jaye haal
Maa yeh _ _ _ _ _ _ _

Lorriyo me wigaa ke hunar
Mei sikhaou tumhein raat bhar
Poocho poocho koi tho sawal
Maa yeh _ _ _ _ _ _ _

 

Subhe Aashur hoga jang ka sama
Maayeh bacho ki jab dengi qurbanian
Tum bhi maidan me karna kamal
Maa yeh _ _ _ _ _ _

 

So raho jab talak raat hai
Raat bhar ki mulaqaat hai
Subah jana hai dasht-e-qital
Maa yeh _ _ _ _ _ _

 

Lorriyo me wigaa ke hunar
Mei sikhaou tumhein raat bhar
Poocho poocho koi to sawal
Maa yeh _ _ _ _ _ _ _

 

Haye Rehan Asghar ki Maa
Deh ke masoom ko lorriya
Roke kehti rahi mere laal
Maa yeh _ _ _ _ _ _